Wednesday, 6 March 2013


"Bholi Si Asha"


Chote sheher ki bholi si ladki,
Ankho me the kai armaan.

Ghar ke beta banungi keh ker,
Nikal padi wo duje jahan.

Shayad andaaza na tha use,
Kai mushkile thi wahan.

Kabhi samaj ke kadve bol,
Kabhi apno se paya dvesh.

Vapttian ayi badi sari,
Badal badal,naye vesh.

Dari na wo, na hi ghabraai,
Vijaypath ki chunautiyion se, kabhi na dagmagaai.

Ansuon ko, kajal ki ot me chupaya  usne,
Ghar ki yaad ka dard, kritrim hasi mein udaya usne.

Antatah paa hi lia, jiski darkaar thi,
Sabkuch,har jagah jeet kahi na haar thi.

Kaamyaabi ke paron ne dia unchi udaan bharne ka haunsala,
Na mudungi peeche,aage badhungi
Aesa, adig tha uska faisla.

Per auron se aage nikal jaane ki hod mein,
Khud ko na bhul jae.

Asha hai bus itni,
Apne hisse ka asmaan paa jae.

Chote sheher ki bholi si ladki..
Bholi hi reh jae....bholi hi reh jae.



No comments:

Post a Comment